Ek khel sa tha woh bachpan ka
Jab chupa karte the apne kahin
Tab kisi baat ki fiqr kahan thi
Kuch sochne ka waqt nahi
Umar badhi aur khel naye
Duniya se kiye mel naye
Mel reh gaya e-mail tak
Kabhi mahol nahi kabhi waqt nahi
Ek khel sa tha who bachpan ka
Jab chupa karte the apne kahin
Aaj bhi ek khel hai
Khel hai woh bachpan sa
Par chupe hue hain raaz kayi
Muddaton tak humne khoja
Waqt ki ret phisalti rahi
Apne jo mil jaate the khel mein
Woh khel rahe hain khel kayi
Har khel ek paheli hai
Har paheli ke jawab kayi
Ek khel sa tha who bachpan ka
Jab chupa karte the apne kahin
Aao phir jee lein us khel ko
Woh bachpan ke us mel ko
Jab khelna jeewan tha
Aur jeewan ek khel nahi
Phir banayein woh kahaniyan
Woh bachpan ki hairaniyan
Apne phir se dhoondein bhi
Baarish ki woh boondein si
Bachpan ki woh baatein
Phir samente woh yaadein
Jab khelna jeewan tha
Aur jeewan ek khel nahi
Ek khel sa tha woh bachpan ka
Jab chupa karte the apne kahin
No comments:
Post a Comment